haq pe chalunga aur sada masti mein rahunga
haq pe chalūñgā aur sadā mastī meñ rahūñgā
ai zindagī maiñ jāma-e-hastī meñ rahūñgā
sahrā pahāḌ dasht-o-samundar meñ rahā huuñ
sāhab junūñ huuñ kis tarah bastī meñ rahūñgā
apnī nazar se tū ne mujhe kyoñ girā diyā
lagtā hai baaqī umr maiñ pastī meñ rahūñgā
āñkhoñ meñ āñkheñ Daal ke bāteñ bhī karūñgā
jab tak ki terī husn-parastī meñ rahūñgā
haq pe chalunga aur sada masti mein rahunga
ai zindagi main jama-e-hasti mein rahunga
sahra pahaD dasht-o-samundar mein raha hun
sahab junun hun kis tarah basti mein rahunga
apni nazar se tu ne mujhe kyon gira diya
lagta hai baqi umr main pasti mein rahunga
aankhon mein aankhen Dal ke baaten bhi karunga
jab tak ki teri husn-parasti mein rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.