haq-shanasi ki jaanib agar jaoge
haq-shanāsī kī jānib agar jāoge
roz do chaar sīḌhī utar jāoge
tum jo karte ho vo dil-lagī hai miyāñ
'ishq karne lagoge to mar jāoge
be-sabab kab talak qatl-e-insāniyat
ham to samjhe the bas ab Thahar jāoge
us taraf shān-o-shaukat idhar muflisī
tum kidhar jāoge tum udhar jāoge
ab ke mausam meñ ham sabz-o-shādāb haiñ
ab ke mausam meñ tum ham pe mar jāoge
haq-shanasi ki jaanib agar jaoge
roz do chaar siDhi utar jaoge
tum jo karte ho wo dil-lagi hai miyan
'ishq karne lagoge to mar jaoge
be-sabab kab talak qatl-e-insaniyat
hum to samjhe the bas ab Thahar jaoge
us taraf shan-o-shaukat idhar muflisi
tum kidhar jaoge tum udhar jaoge
ab ke mausam mein hum sabz-o-shadab hain
ab ke mausam mein tum hum pe mar jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.