haq talab karte hue logon ko fariyaadi kahen
haq talab karte hue logoñ ko fariyādī kaheñ
gar ye āzādī hai kaise is ko āzādī kaheñ
chāñd ko shab-zād kah dene se kab puurī huī
baat puurī ho jo in sub.hoñ ko shab-zādī kaheñ
kitne dhoke-bāz haiñ lafz-o-bayāñ ke silsile
apnī qabreñ DhūñDtī lāshoñ ko ābādī kaheñ
duudh kī nahreñ banānā apne apne ghar talak
aur sitam ye bhī ki is jazbe ko farhādī kaheñ
āñdhiyoñ se laḌ rahe haiñ jang kuchh kāġhaz ke log
ham pe lāzim hai ki in logoñ ko faulādī kaheñ
sirf husn-o-'ishq ke dam se ye baaqī hai abhī
aa.iye duniyā ko husn-o-'ishq kī vaadī kaheñ
haq talab karte hue logon ko fariyaadi kahen
gar ye aazadi hai kaise is ko aazadi kahen
chand ko shab-zad kah dene se kab puri hui
baat puri ho jo in subhon ko shab-zadi kahen
kitne dhoke-baz hain lafz-o-bayan ke silsile
apni qabren DhunDti lashon ko aabaadi kahen
dudh ki nahren banana apne apne ghar talak
aur sitam ye bhi ki is jazbe ko farhadi kahen
aandhiyon se laD rahe hain jang kuchh kaghaz ke log
hum pe lazim hai ki in logon ko fauladi kahen
sirf husn-o-'ishq ke dam se ye baqi hai abhi
aaiye duniya ko husn-o-'ishq ki wadi kahen
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 66)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.