haq wafaon ka jafaon se ada karte hain log
haq vafāoñ kā jafāoñ se adā karte haiñ log
aaj kī duniyā ko kyā kahiye ki kyā karte haiñ log
aañkh pur-nam hoñT larzāñ dil ġhamoñ se paash paash
is tarah bhī zindagī kā sāmnā karte haiñ log
ai zamāne kī ravish terī vafā-koshī kī ḳhair
ahd-o-paimāñ toḌ kar va.ada vafā karte haiñ log
ai vafūr-e-zindagī ye bhī tirā e.ajāz hai
zahr piite haiñ musalsal aur jiyā karte haiñ log
utnā utnā dil meñ uThtā hai baġhāvat kā ġhubār
jitnā jitnā dil ko pāband-e-vafā karte haiñ log
us ke paane kī masarrat chand lamhe bhī nahīñ
jis ko kho kar umr bhar āh-o-bukā karte haiñ log
merī rūdād-e-alam meñ koī pahlū hai zarūr
sun ke rūdād-e-alam kyoñ hañs diyā karte haiñ log
jab bhī hotā hai jafāoñ kā kahīñ bhī tazkira
naam jaane kyoñ tumhārā le liyā karte haiñ log
sub.h-e-nau kī yaad meñ kaTtī hai har shām-e-firāq
sukh kī ummīdoñ meñ aksar dukh sahā karte haiñ log
ranj-o-ġham aish-o-masarrat dhuup bhī hai chhāñv bhī
hañste hañste zindagī meñ ro diyā karte haiñ log
kaun kaam aatā hai aaḌe vaqt par 'qādir' ye dekh
ziist ke har moḌ par yuuñ to milā karte haiñ log
haq wafaon ka jafaon se ada karte hain log
aaj ki duniya ko kya kahiye ki kya karte hain log
aankh pur-nam honT larzan dil ghamon se pash pash
is tarah bhi zindagi ka samna karte hain log
ai zamane ki rawish teri wafa-koshi ki KHair
ahd-o-paiman toD kar wada wafa karte hain log
ai wafur-e-zindagi ye bhi tera eajaz hai
zahr pite hain musalsal aur jiya karte hain log
utna utna dil mein uThta hai baghawat ka ghubar
jitna jitna dil ko paband-e-wafa karte hain log
us ke pane ki masarrat chand lamhe bhi nahin
jis ko kho kar umr bhar aah-o-buka karte hain log
meri rudad-e-alam mein koi pahlu hai zarur
sun ke rudad-e-alam kyon hans diya karte hain log
jab bhi hota hai jafaon ka kahin bhi tazkira
nam jaane kyon tumhaara le liya karte hain log
subh-e-nau ki yaad mein kaTti hai har sham-e-firaq
sukh ki ummidon mein aksar dukh saha karte hain log
ranj-o-gham aish-o-masarrat dhup bhi hai chhanw bhi
hanste hanste zindagi mein ro diya karte hain log
kaun kaam aata hai aaDe waqt par 'qadir' ye dekh
zist ke har moD par yun to mila karte hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.