haq ye hai qalb mein murshid ke jo ghar rakhte hain
haq ye hai qalb mein murshid ke jo ghar rakhte hain
Sayyad Tasadduq Ali Asad
MORE BYSayyad Tasadduq Ali Asad
haq ye hai qalb meñ murshid ke jo ghar rakhte haiñ
yār-e-harjā.ī ko apnā vahī kar rakhte haiñ
nazr ham kar chuke donoñ tumheñ ai hazrat-e-ishq
dosh par sar ko na pahlū meñ jigar rakhte haiñ
qatra kab rakkhe ḳhabar jabki fanā bahar meñ hai
be-ḳhabar haq se haiñ jo us kī ḳhabar rakhte haiñ
pī chuke jām-e-baqā haath se jo saaqī ke
kū-e-jānāñ meñ vahī apnā guzar rakhte haiñ
le uḌī bād-e-fanā jin ke ġhubār-e-tan ko
vo nishāñ rakhte haiñ apnā na asar rakhte haiñ
hai yaqīñ jin ko ki hai ek 'asad' phir to vo
zer rakhte haiñ kisī ko na zabar rakhte haiñ
haq ye hai qalb mein murshid ke jo ghar rakhte hain
yar-e-harjai ko apna wahi kar rakhte hain
nazr hum kar chuke donon tumhein ai hazrat-e-ishq
dosh par sar ko na pahlu mein jigar rakhte hain
qatra kab rakkhe KHabar jabki fana bahar mein hai
be-KHabar haq se hain jo us ki KHabar rakhte hain
pi chuke jam-e-baqa hath se jo saqi ke
ku-e-jaanan mein wahi apna guzar rakhte hain
le uDi baad-e-fana jin ke ghubar-e-tan ko
wo nishan rakhte hain apna na asar rakhte hain
hai yaqin jin ko ki hai ek 'asad' phir to wo
zer rakhte hain kisi ko na zabar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.