haqaeq kitne ai ahl-e-nazar hum bhul jate hain
haqā.eq kitne ai ahl-e-nazar ham bhuul jaate haiñ
chhupe hote haiñ patthar meñ guhar ham bhuul jaate haiñ
tapish shabnam meñ ho paidā to ham hairān ho jaa.eñ
magar sho.aloñ kā andāz-e-safar ham bhuul jaate haiñ
barasnā aag kā patthar kā ham ko yaad rahtā hai
duāoñ meñ bhī hotā hai asar ham bhuul jaate haiñ
rahā hai muddatoñ se aisā hī andāz-e-naqd apnā
añdhere yaad rahte haiñ sahar ham bhuul jaate haiñ
hamesha yaad rakhte haiñ shikast-o-reḳht kī bāteñ
magar kyā shai hai e.ajāz-e-hunar ham bhuul jaate haiñ
'zahīr' apne qalam kī haiñ karishma-sāziyāñ aisī
ki apnī zaat ke sab ḳhair-o-shar ham bhuul jaate haiñ
haqaeq kitne ai ahl-e-nazar hum bhul jate hain
chhupe hote hain patthar mein guhar hum bhul jate hain
tapish shabnam mein ho paida to hum hairan ho jaen
magar shoalon ka andaz-e-safar hum bhul jate hain
barasna aag ka patthar ka hum ko yaad rahta hai
duaon mein bhi hota hai asar hum bhul jate hain
raha hai muddaton se aisa hi andaz-e-naqd apna
andhere yaad rahte hain sahar hum bhul jate hain
hamesha yaad rakhte hain shikast-o-reKHt ki baaten
magar kya shai hai eajaz-e-hunar hum bhul jate hain
'zahir' apne qalam ki hain karishma-saziyan aisi
ki apni zat ke sab KHair-o-shar hum bhul jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.