haqaeq ko bhulana chahte hain
haqā.eq ko bhulānā chāhte haiñ
koī rañgīñ fasāna chāhte haiñ
badan par oḌh kar gard-e-masāfat
ġham-e-manzil chhupānā chāhte haiñ
ga.ī shab kī rupahlī sā.atoñ ko
na.ī dhaj se sajānā chāhte haiñ
parindoñ ko na patthar se uḌaao
musāfir haiñ Thikānā chāhte haiñ
kushāda sā.ebāñ sab ke liye ho
ri.āyat sab uThānā chāhte haiñ
nasīm-e-sub.h ho sarsar ho kuchh ho
ye paude lahlahānā chāhte haiñ
vo ḳhud bhī to kabhī aa.e the 'mohsin'
jo mahfil se uThānā chāhte haiñ
haqaeq ko bhulana chahte hain
koi rangin fasana chahte hain
badan par oDh kar gard-e-masafat
gham-e-manzil chhupana chahte hain
gai shab ki rupahli saaton ko
nai dhaj se sajaana chahte hain
parindon ko na patthar se uDao
musafir hain Thikana chahte hain
kushada saeban sab ke liye ho
riayat sab uThana chahte hain
nasim-e-subh ho sarsar ho kuchh ho
ye paude lahlahana chahte hain
wo KHud bhi to kabhi aae the 'mohsin'
jo mahfil se uThana chahte hain
- Book : Maajra (Pg. 45)
- Author : Mohsin Bhopali
- Publication : Aiwan-e-Adab 8C Mohammad Ali society, Krachi (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.