haqiqat khul nahin pai abhi tak
haqīqat khul nahīñ paa.ī abhī tak
pahelī hai vo ḳhāmoshī abhī tak
qasam denā nahīñ chhoḌā kisī ne
mirī cigarette nahīñ chhūTī abhī tak
bahut būḌhī hai ḳhāmoshī hamārī
magar ūñchā nahīñ suntī abhī tak
pata bhī hai zamīñ kī 'umr kyā hai
banī baiThī hai jo bachchī abhī tak
na jaane shave chubhtā hai ki bistar
nahīñ soyā nayā qaidī abhī tak
baḌe bīmār kā chhoTā sā shikva
mirī chādar nahīñ badlī abhī tak
ye ghar ḳhud meñ jo ik duniyā hai puurī
yahī duniyā nahīñ dekhī abhī tak
haqiqat khul nahin pai abhi tak
paheli hai wo KHamoshi abhi tak
qasam dena nahin chhoDa kisi ne
meri cigarette nahin chhuTi abhi tak
bahut buDhi hai KHamoshi hamari
magar uncha nahin sunti abhi tak
pata bhi hai zamin ki 'umr kya hai
bani baiThi hai jo bachchi abhi tak
na jaane shawe chubhta hai ki bistar
nahin soya naya qaidi abhi tak
baDe bimar ka chhoTa sa shikwa
meri chadar nahin badli abhi tak
ye ghar KHud mein jo ek duniya hai puri
yahi duniya nahin dekhi abhi tak
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 37)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.