haqiqat mein wahi ek shaKHs hai duniya mein farzana
haqīqat meñ vahī ik shaḳhs hai duniyā meñ farzāna
jise tum aa.e din kahte ho ye hai koī dīvāna
bharam qaa.em hai tere naam se donoñ kā duniyā meñ
haqīqat meñ tirā maskan na ka.aba hai na but-ḳhāna
dil-e-shaidā kī fitrat ko koī samjhe to kyā samjhe
ye farzāne kā farzāna ye dīvāne kā dīvāna
mohabbat ne lagā dī aag donoñ ko barābar kī
idhar to sham.a jaltī hai udhar jaltā hai parvāna
na pūchho ham se andāza ye hai tauhīn piine kī
hamāre mai-kade meñ koī shīsha hai na paimāna
razā-kārān-e-ulfat maut se ḳhā.if nahīñ hote
hamesha aag hī se kheltā rahtā hai parvāna
mazammat mai kī karne aa.e ho maiḳhāne meñ vaa.iz
zarā socho to ye bhī kaam hai koī sharīfāna
tamannā hūr-o-ġhilmāñ kī mubārak ho tujhe vaa.iz
hameñ tū ye batā jannat meñ hogā koī mai-ḳhāna
parā.ī aag meñ jalnā bahut dushvār hai 'sāhir'
ye kaam insāñ ko lāzim thā magar kartā hai parvāna
haqiqat mein wahi ek shaKHs hai duniya mein farzana
jise tum aae din kahte ho ye hai koi diwana
bharam qaem hai tere nam se donon ka duniya mein
haqiqat mein tera maskan na kaba hai na but-KHana
dil-e-shaida ki fitrat ko koi samjhe to kya samjhe
ye farzane ka farzana ye diwane ka diwana
mohabbat ne laga di aag donon ko barabar ki
idhar to shama jalti hai udhar jalta hai parwana
na puchho hum se andaza ye hai tauhin pine ki
hamare mai-kade mein koi shisha hai na paimana
raza-karan-e-ulfat maut se KHaif nahin hote
hamesha aag hi se khelta rahta hai parwana
mazammat mai ki karne aae ho maiKHane mein waiz
zara socho to ye bhi kaam hai koi sharifana
tamanna hur-o-ghilman ki mubarak ho tujhe waiz
hamein tu ye bata jannat mein hoga koi mai-KHana
parai aag mein jalna bahut dushwar hai 'sahir'
ye kaam insan ko lazim tha magar karta hai parwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.