haqiqaten hain ye koi tasawwuraat nahin
haqīqateñ haiñ ye koī tasavvurāt nahīñ
jo tum abhī bhī na samjho to koī baat nahīñ
kuchh aise bhī haiñ jinheñ maut hī nahīñ aatī
aur ek ham haiñ jo barsoñ se bā-hayāt nahīñ
har ek shaḳhs ko haq hai yahāñ pe chalne kā
kisī ke baap kā ye farsh-e-kā.enāt nahīñ
sañbhal sañbhal ke chalo ai javānoñ is rah par
ye rāh-e-ishq hai is meñ kabhī najāt nahīñ
sipurd kar duuñ kisī ko bhī is ko kaise maiñ
amaañ ye dil hai hamārā koī zakāt nahīñ
sunā hai logoñ se us bevafā kī beTī meñ
ḳhudā kā shukr hai maañ kī koī sifāt nahīñ
vafā ke badle vafā kartī kyoñ nahīñ duniyā
ḳhudāyā kyoñ ye bhalā juzv-e-vājibāt nahīñ
tū sochtī hai mujhe ab bhī terī ḳhvāhish hai
nahīñ nahīñ mujhe ab koī ḳhvāhishāt nahīñ
'suhail' jānvaroñ kā hadaf faqat hai ġhizā
sunā hai un ke yahāñ koī zāt-pāt nahīñ
haqiqaten hain ye koi tasawwuraat nahin
jo tum abhi bhi na samjho to koi baat nahin
kuchh aise bhi hain jinhen maut hi nahin aati
aur ek hum hain jo barson se ba-hayat nahin
har ek shaKHs ko haq hai yahan pe chalne ka
kisi ke bap ka ye farsh-e-kaenat nahin
sanbhal sanbhal ke chalo ai jawanon is rah par
ye rah-e-ishq hai is mein kabhi najat nahin
sipurd kar dun kisi ko bhi is ko kaise main
aman ye dil hai hamara koi zakat nahin
suna hai logon se us bewafa ki beTi mein
KHuda ka shukr hai man ki koi sifat nahin
wafa ke badle wafa karti kyon nahin duniya
KHudaya kyon ye bhala juzw-e-wajibaat nahin
tu sochti hai mujhe ab bhi teri KHwahish hai
nahin nahin mujhe ab koi KHwahishat nahin
'suhail' jaanwaron ka hadaf faqat hai ghiza
suna hai un ke yahan koi zat-pat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.