haqiqaton ka na parda abhi uThana tha
haqīqatoñ kā na parda abhī uThānā thā
ḳhayāl-o-ḳhvāb kā manzar baḌā suhānā thā
talab key raah meñ thī ārzū-e-dil dushman
na imtihāñ thā kisī kā na āzmānā thā
chal uḌ ke aur parinde kahīñ baserā kar
vo peḌ kaT ga.e jin par tirā Thikānā thā
na hausla tujhe detā kabhī dil-e-nāzuk
agar mujhe kisī manzil pe TuuT jaanā thā
badal ga.ī hai kuchh is tarah sūrat-e-gulshan
patā nahīñ hai kahāñ merā āshiyānā thā
ayaañ kiyā na kabhī ḳhud ko ġham-parastoñ ne
har ik maqām pe tauqīr-e-ġham baḌhānā thā
hameñ to rakhnī thī 'iqbāl' aabrū ġham key
ba-qaid-e-zabt bujhe dil se muskurānā thā
haqiqaton ka na parda abhi uThana tha
KHayal-o-KHwab ka manzar baDa suhana tha
talab key rah mein thi aarzu-e-dil dushman
na imtihan tha kisi ka na aazmana tha
chal uD ke aur parinde kahin basera kar
wo peD kaT gae jin par tera Thikana tha
na hausla tujhe deta kabhi dil-e-nazuk
agar mujhe kisi manzil pe TuT jaana tha
badal gai hai kuchh is tarah surat-e-gulshan
pata nahin hai kahan mera aashiyana tha
ayan kiya na kabhi KHud ko gham-paraston ne
har ek maqam pe tauqir-e-gham baDhana tha
hamein to rakhni thi 'iqbaal' aabru gham key
ba-qaid-e-zabt bujhe dil se muskurana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.