haqiqaton ki taraf dastan se niklenge
haqīqatoñ kī taraf dāstāñ se nikleñge
jo ek roz ham is ḳhāk-dāñ se nikleñge
na tār-tār girebāñ na ḳhaak uḌāte hue
kisī ke kūcha-e-nā-mehrbāñ se nikleñge
jahāñ koī nahīñ pohñchā vahāñ pahuñchnā hai
jahāñ koī nahīñ niklā vahāñ se nikleñge
kisī ke zaḳhm kisī kā badan uThā.egā
kisī ke tiir kisī kī kamāñ se nikleñge
zamīñ meñ jaanā hai yuuñ haiñ zamīn kī ḳhātir
ham āsmāñ ke liye āsmāñ se nikleñge
na phir ghaḌī kī ye Tik-Tik na girtī dīvāreñ
kabhī to qaid-e-zamān-o-makāñ se nikleñge
chhupe haiñ yuuñ ki talāsheñ hameñ na.ī nasleñ
ḳhamosh yuuñ haiñ ki un kī zabāñ se nikleñge
haqiqaton ki taraf dastan se niklenge
jo ek roz hum is KHak-dan se niklenge
na tar-tar gireban na KHak uDate hue
kisi ke kucha-e-na-mehrban se niklenge
jahan koi nahin pohncha wahan pahunchna hai
jahan koi nahin nikla wahan se niklenge
kisi ke zaKHm kisi ka badan uThaega
kisi ke tir kisi ki kaman se niklenge
zamin mein jaana hai yun hain zamin ki KHatir
hum aasman ke liye aasman se niklenge
na phir ghaDi ki ye Tik-Tik na girti diwaren
kabhi to qaid-e-zaman-o-makan se niklenge
chhupe hain yun ki talashen hamein nai naslen
KHamosh yun hain ki un ki zaban se niklenge
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 71)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.