haqiqaton mein gham-e-zat kar ke dekhte hain
haqīqatoñ meñ ġham-e-zāt kar ke dekhte haiñ
ḳhudā se ab to munājāt kar ke dekhte haiñ
gumān chhoḌ ke hālāt ke sañvarne kā
yaqīn-e-gardish-e-hālāt kar ke dekhte haiñ
milā na kuchh bhī bahut nafratoñ ko dekh liyā
mohabbatoñ kī bhī barsāt kar ke dekhte haiñ
yahī ki tark-e-ta.alluq kī vo sazā deñge
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ
ik intizār meñ jaise guzar gayā din to
diye jalāo ki ab raat kar ke dekhte haiñ
kisī se 'nāz' kabhī hāl-e-dil kahā to nahīñ
bayāñ kuchh aaj to jazbāt kar ke dekhte haiñ
haqiqaton mein gham-e-zat kar ke dekhte hain
KHuda se ab to munajat kar ke dekhte hain
guman chhoD ke haalat ke sanwarne ka
yaqin-e-gardish-e-haalat kar ke dekhte hain
mila na kuchh bhi bahut nafraton ko dekh liya
mohabbaton ki bhi barsat kar ke dekhte hain
yahi ki tark-e-talluq ki wo saza denge
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
ek intizar mein jaise guzar gaya din to
diye jalao ki ab raat kar ke dekhte hain
kisi se 'naz' kabhi haal-e-dil kaha to nahin
bayan kuchh aaj to jazbaat kar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.