Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haqir basti ke hum makinon mein rasm kaisi riwaj kaisa

Akram Kunjahi

haqir basti ke hum makinon mein rasm kaisi riwaj kaisa

Akram Kunjahi

MORE BYAkram Kunjahi

    haqīr bastī ke ham makīnoñ meñ rasm kaisī rivāj kaisā

    jahāñ ho faaqe se jaañ laboñ par ġharīb beTī daaj kaisā

    kahīñ pe DhūñDe se mil sake to zarūr dekho hameñ dikhāo

    ġharīb mulkoñ kachchī bastī meñ chhāj kaisā anaaj kaisā

    koī pukāre to log dekheñ zamīñ se niklo falak se utro

    vagarna itnā batā do shāhū ye taḳht kaisā ye taaj kaisā

    ḳhulūs-o-mehr-o-vafā nahīñ hai to rishte-nāte fuzūl saare

    na kaam aa.e koī ta'alluq to dukh bharā ye samāj kaisā

    ḳhudā bastī ḳhudā ke bande sabhī usī amānateñ haiñ

    ḳhudā-e-vāhid ke pyāre bando ḳhudā ke bandoñ pe raaj kaisā

    chalo umīdoñ haath thāme sabhī gharoñ se nikal ke dekheñ

    ufuq se kirnoñ taaj pahne nikaltā sūraj hai aaj kaisā

    haqir basti ke hum makinon mein rasm kaisi riwaj kaisa

    jahan ho faqe se jaan labon par gharib beTi ka daj kaisa

    kahin pe DhunDe se mil sake to zarur dekho hamein dikhao

    gharib mulkon ki kachchi basti mein chhaj kaisa anaj kaisa

    koi pukare to log dekhen zamin se niklo falak se utro

    wagarna itna bata do shahu ye taKHt kaisa ye taj kaisa

    KHulus-o-mehr-o-wafa nahin hai to rishte-nate fuzul sare

    na kaam aae koi ta'alluq to dukh bhara ye samaj kaisa

    KHuda ki basti KHuda ke bande sabhi usi ki amanaten hain

    KHuda-e-wahid ke pyare bando KHuda ke bandon pe raj kaisa

    chalo umidon ka hath thame sabhi gharon se nikal ke dekhen

    ufuq se kirnon ka taj pahne nikalta suraj hai aaj kaisa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now