haqir jaanta hai iftiKhaar mangta hai
haqīr jāntā hai iftiḳhār māñgtā hai
vo zahr bāñTtā hai aur pyaar māñgtā hai
abhī to haath meñ us ke hai ḳhāndān kī laaj
garebāñ sab ke jo ab tār-tār māñgtā hai
bichhā ke rakhtā hai vo sab kī raah meñ kāñTe
sile meñ logoñ se phūloñ ke haar māñgtā hai
maiñ apne va.ade pe qarzā chukā nahīñ paayā
muāfī dil se abhī sharmsār māñgtā hai
havās jab se mile tab se iztirāb meñ huuñ
mire ḳhudā mirā dil bhī qarār māñgtā hai
amīr-e-shahr ne chhīnā hai muñh kā luqma bhī
phir is pe qahr abhī e.atibār māñgtā hai
abhī ye ahl-e-siyāsat ke bas kā rog nahīñ
abhī ye mulk nayā shahsavār māñgtā hai
bajā ke tā.ir-e-chashm-e-hasīn hai mashshāq
dil-o-nazar kā magar ye shikār māñgtā hai
maiñ dekhtā huuñ ki zulfeñ tirī sañvārtā huuñ
hai ḳhvāb achchhā magar intizār māñgtā hai
'rashīd' un pe mirā naġhma kārgar hī nahīñ
ye giit vo hai ki jo dil ke taar māñgtā hai
haqir jaanta hai iftiKHar mangta hai
wo zahr banTta hai aur pyar mangta hai
abhi to hath mein us ke hai KHandan ki laj
gareban sab ke jo ab tar-tar mangta hai
bichha ke rakhta hai wo sab ki rah mein kanTe
sile mein logon se phulon ke haar mangta hai
main apne wade pe qarza chuka nahin paya
muafi dil se abhi sharmsar mangta hai
hawas jab se mile tab se iztirab mein hun
mere KHuda mera dil bhi qarar mangta hai
amir-e-shahr ne chhina hai munh ka luqma bhi
phir is pe qahr abhi eatibar mangta hai
abhi ye ahl-e-siyasat ke bas ka rog nahin
abhi ye mulk naya shahsawar mangta hai
baja ke tair-e-chashm-e-hasin hai mashshaq
dil-o-nazar ka magar ye shikar mangta hai
main dekhta hun ki zulfen teri sanwarta hun
hai KHwab achchha magar intizar mangta hai
'rashid' un pe mera naghma kargar hi nahin
ye git wo hai ki jo dil ke tar mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.