har aaftab-e-jahan ki kiran-kiran mein rahun
har aaftab-e-jahan ki kiran-kiran mein rahun
Saqib Tabassum Saqib
MORE BYSaqib Tabassum Saqib
har āftāb-e-jahāñ kī kiran-kiran meñ rahūñ
jahāñ bhī jā.ūñ ujāloñ ke pairahan meñ rahūñ
maiñ thā maiñ huuñ maiñ rahūñgā ḳhudā kī marzī se
jahān-e-rūh meñ utrūñ kabhī badan meñ rahūñ
vufūr-e-shauq ne toḌā hisār-e-vasl-o-firāq
maiñ ab kahīñ bhī rahūñ terī anjuman meñ rahūñ
mirā mizāj badaltā hai pesh-e-manzar se
maiñ dasht-dasht phirūñ aur chaman-chaman meñ rahūñ
mirī duā hai ye 'sāqib' huzūr-e-haq se yahī
agar jahāñ meñ rahūñ to tirī lagan meñ rahūñ
har aaftab-e-jahan ki kiran-kiran mein rahun
jahan bhi jaun ujalon ke pairahan mein rahun
main tha main hun main rahunga KHuda ki marzi se
jahan-e-ruh mein utrun kabhi badan mein rahun
wufur-e-shauq ne toDa hisar-e-wasl-o-firaq
main ab kahin bhi rahun teri anjuman mein rahun
mera mizaj badalta hai pesh-e-manzar se
main dasht-dasht phirun aur chaman-chaman mein rahun
meri dua hai ye 'saqib' huzur-e-haq se yahi
agar jahan mein rahun to teri lagan mein rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.