har aah be-asar hi nahin ba-asar bhi hai
har aah be-asar hī nahīñ bā-asar bhī hai
muddat se jo idhar thā vo aalam udhar bhī hai
gulshan ke pāsbāñ tujhe itnī ḳhabar bhī hai
tere chaman pe aur kisī kī nazar bhī hai
maanā ki har ravish hai bahāroñ se ham-kanār
lekin chaman meñ aaj koī dīda-var bhī hai
tanhā sahī maiñ rāh-e-junūñ meñ ravāñ-davāñ
mahsūs ho rahā hai koī ham-safar bhī hai
jab se huī haiñ tire karam kī navāzisheñ
dil pāsh-pāsh hī nahīñ zaḳhmī jigar bhī hai
kahne se pahle itnā to lāzim hai sochnā
jo baat muñh se niklegī vo be-zarar bhī hai
'zaidī' tū ho to jaatā hai har ḳhush-navā ke saath
kuchh imtiyāz-e-rāhzan-o-rāhbar bhī hai
har aah be-asar hi nahin ba-asar bhi hai
muddat se jo idhar tha wo aalam udhar bhi hai
gulshan ke pasban tujhe itni KHabar bhi hai
tere chaman pe aur kisi ki nazar bhi hai
mana ki har rawish hai bahaaron se ham-kanar
lekin chaman mein aaj koi dida-war bhi hai
tanha sahi main rah-e-junun mein rawan-dawan
mahsus ho raha hai koi ham-safar bhi hai
jab se hui hain tere karam ki nawazishen
dil pash-pash hi nahin zaKHmi jigar bhi hai
kahne se pahle itna to lazim hai sochna
jo baat munh se niklegi wo be-zarar bhi hai
'zaidi' tu ho to jata hai har KHush-nawa ke sath
kuchh imtiyaz-e-rahzan-o-rahbar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.