har aan us sitam-ijad ki ada hai aur
har aan us sitam-ījād kī adā hai aur
ki din ko aur hai shab ko vo dilrubā hai aur
abas ye ḳhuld kī tarġhīb mujh ko hai vaa.iz
ḳhudā-parastī se apnā to mudda.ā hai aur
mile jo huur kā bosa to maiñ na luuñ vaa.iz
ki chūmne meñ kisī ke qadam mazā hai aur
ye dam-ba-dam hai fuzūñ shauq-e-tālib-e-dīdār
javāb-e-sāf pe bhī arz-e-iltijā hai aur
ye himmat-e-dil-e-āshiq hai daad ke qābil
tumhāre jaur pe bhī mā.il-e-vafā hai aur
pilā diye mujhe saaqī ne ḳhum pe ḳhum 'sābir'
magar vo tishna-dahan huuñ mirī sadā hai aur
har aan us sitam-ijad ki ada hai aur
ki din ko aur hai shab ko wo dilruba hai aur
abas ye KHuld ki targhib mujh ko hai waiz
KHuda-parasti se apna to muddaa hai aur
mile jo hur ka bosa to main na lun waiz
ki chumne mein kisi ke qadam maza hai aur
ye dam-ba-dam hai fuzun shauq-e-talib-e-didar
jawab-e-saf pe bhi arz-e-iltija hai aur
ye himmat-e-dil-e-ashiq hai dad ke qabil
tumhaare jaur pe bhi mail-e-wafa hai aur
pila diye mujhe saqi ne KHum pe KHum 'sabir'
magar wo tishna-dahan hun meri sada hai aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.