har aas toD ke jab hum subuk saba se hue
har aas toḌ ke jab ham subuk sabā se hue
nigāh-e-yār ke andāz āshnā se hue
tirī talab meñ ajab marhaloñ se guzre haiñ
kabhī to ḳhud se kabhī bad-gumāñ ḳhudā se hue
ye zo.am thā ki hamīñ se hai un kā nām-o-nishāñ
bichhaḌ ke un se hamīñ be-nishāñ havā se hue
laboñ pe shor-e-tabassum hai dil meñ sannāTā
hue do laḳht judā ham jo āshnā se hue
kafan urūs-e-ma.ānī kā jāma-e-alfāz
ḳhayāl jān-ba-lab tañgī-e-qabā se hue
har aas toD ke jab hum subuk saba se hue
nigah-e-yar ke andaz aashna se hue
teri talab mein ajab marhalon se guzre hain
kabhi to KHud se kabhi bad-guman KHuda se hue
ye zoam tha ki hamin se hai un ka nam-o-nishan
bichhaD ke un se hamin be-nishan hawa se hue
labon pe shor-e-tabassum hai dil mein sannaTa
hue do laKHt juda hum jo aashna se hue
kafan urus-e-maani ka jama-e-alfaz
KHayal jaan-ba-lab tangi-e-qaba se hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.