har aks mein jis ka mujhe jalwa nazar aaya
har aks meñ jis kā mujhe jalva nazar aayā
vo ā.ina-ḳhāne meñ akelā nazar aaya
jab dhyān gayā apnī taraf ḳhud pe nazar kī
sahrā bhī hameñ ḳhaak kā zarra nazar aayā
thā mahv-e-safar apnī hī takmīl kī jānib
jo naqsh bhī dekhā vo adhūrā nazar aayā
ik roz achānak use dekhā thā safar meñ
phir duur talak dasht meñ dariyā nazar aayā
ab shahr meñ mālūm karūñ kis se ye 'zulfī'
vo mujh ko dikhā.ī na diyā yā nazar aayā
har aks mein jis ka mujhe jalwa nazar aaya
wo aaina-KHane mein akela nazar aaya
jab dhyan gaya apni taraf KHud pe nazar ki
sahra bhi hamein KHak ka zarra nazar aaya
tha mahw-e-safar apni hi takmil ki jaanib
jo naqsh bhi dekha wo adhura nazar aaya
ek roz achanak use dekha tha safar mein
phir dur talak dasht mein dariya nazar aaya
ab shahr mein malum karun kis se ye 'zulfi'
wo mujh ko dikhai na diya ya nazar aaya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 517)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.