har anjuman mein dawa-e-wahsaht kiya karo
har anjuman meñ dāva-e-vahsaht kiyā karo
kuḌhtā ho jī to logoñ se nafrat kiyā karo
jin dostoñ ke bal pe sajāte ho bazm-e-ḳhās
in sab kī ehtiyāt se ġhībat kiyā karo
tauba karo jo sub.h meñ TuuTe badan kī shāḳh
shab meñ bayān mai kī fazīlat kiyā karo
ghar se chalo to zeb karo tauq-e-buzdilī
ghar meñ raho to azm-e-shujā.at kiyā karo
karte raho harīfoñ se elān-e-sar-kashī
lekin milo to un kī itā.at kiyā karo
dillī meñ ham-nashīnoñ se 'sūfī' ḳhudā bachā.e
bas duur rah ke apnī hifāzat kiyā karo
har anjuman mein dawa-e-wahsaht kiya karo
kuDhta ho ji to logon se nafrat kiya karo
jin doston ke bal pe sajate ho bazm-e-KHas
in sab ki ehtiyat se ghibat kiya karo
tauba karo jo subh mein TuTe badan ki shaKH
shab mein bayan mai ki fazilat kiya karo
ghar se chalo to zeb karo tauq-e-buzdili
ghar mein raho to azm-e-shujaat kiya karo
karte raho harifon se elan-e-sar-kashi
lekin milo to un ki itaat kiya karo
dilli mein ham-nashinon se 'sufi' KHuda bachae
bas dur rah ke apni hifazat kiya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.