har aqida har yaqin wahm-o-guman banta gaya
har aqida har yaqin wahm-o-guman banta gaya
Wajahat Ali Sandailvi
MORE BYWajahat Ali Sandailvi
har aqīda har yaqīñ vahm-o-gumāñ bantā gayā
har zamīñ par dūsrā ik āsmāñ bantā gayā
qaid-e-hastī se chhuTā to be-karāñ bantā gayā
ḳhaak ho kar phuul shabnam kahkashāñ bantā gayā
kab havādis past kar paa.e kisī ke hausle
barq kī bāñhoñ meñ apnā āshiyāñ bantā gayā
ik adā achchhī lagī phir har adā qātil banī
gul se vo mere liye ik gulsitāñ bantā gayā
ḳhuun se mazdūr ke chamke nuqūsh-e-zindagī
ḳhud fanā hotā rahā kār-e-jahāñ bantā gayā
kitne kāñTe rahguzar ke ab bhī pyāse rah ga.e
qurb-e-manzil mujh ko ehsās-e-ziyāñ bantā gayā
terā ai teġh-e-sitam ham par burā ehsān hai
ik hujūm-e-muntashir se kārvāñ bantā gayā
de na paayā zindagī ko maiñ kabhī ḳhūn-e-jigar
kuchh magar aisā thā mujh meñ jāvedāñ bantā gayā
rang-o-bū ke sail meñ thā ek andāz-e-junūñ
phuul murjhāte rahe aur gulsitāñ bantā gayā
muntahā-e-fikr-e-insānī bane dair-o-haram
har ġhubār-e-rāh manzil kā nishāñ bantā gayā
jis ko dekhā mubtalā-e-ġham thā mujh se bhī sivā
phir to apne daur kā maiñ nauha-ḳhvāñ bantā gayā
bijliyāñ girtī rahīñ mahmez ban kar shauq kī
āshiyāñ jaltā rahā aur āshiyāñ bantā gayā
har aqida har yaqin wahm-o-guman banta gaya
har zamin par dusra ek aasman banta gaya
qaid-e-hasti se chhuTa to be-karan banta gaya
KHak ho kar phul shabnam kahkashan banta gaya
kab hawadis past kar pae kisi ke hausle
barq ki banhon mein apna aashiyan banta gaya
ek ada achchhi lagi phir har ada qatil bani
gul se wo mere liye ek gulsitan banta gaya
KHun se mazdur ke chamke nuqush-e-zindagi
KHud fana hota raha kar-e-jahan banta gaya
kitne kanTe rahguzar ke ab bhi pyase rah gae
qurb-e-manzil mujh ko ehsas-e-ziyan banta gaya
tera ai tegh-e-sitam hum par bura ehsan hai
ek hujum-e-muntashir se karwan banta gaya
de na paya zindagi ko main kabhi KHun-e-jigar
kuchh magar aisa tha mujh mein jawedan banta gaya
rang-o-bu ke sail mein tha ek andaz-e-junun
phul murjhate rahe aur gulsitan banta gaya
muntaha-e-fikr-e-insani bane dair-o-haram
har ghubar-e-rah manzil ka nishan banta gaya
jis ko dekha mubtala-e-gham tha mujh se bhi siwa
phir to apne daur ka main nauha-KHwan banta gaya
bijliyan girti rahin mahmez ban kar shauq ki
aashiyan jalta raha aur aashiyan banta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.