har aqidat-mand tak ye baat pahunchae koi
har 'aqīdat-mañd tak ye baat pahuñchā.e koī
us ke hisse ke masā.il kaise suljhā.e koī
jannat-ul-firdaus ke chakkar meñ duniyā se jafā
is samajh ke pher se kaise ubar paa.e koī
piiTh pīchhe kaun kyā kahtā hai is ko chhoḌiye
hai agar himmat to mere sāmne aa.e koī
mulk jis meñ qābiliyyat kī koī 'izzat nahīñ
vishv-gurū kaise banegā ham ko samjhā.e koī
jo zabāñ maqbūl ho jaatī hai ḳhās-o-'ām meñ
kyā munāsib had kabhī is par lagā paa.e koī
ye hamārī qaum hī kyā asl qaum-e-lūt hai
varna maazī ko min-o-'an kaise dohrā.e koī
desh meñ achchhe dinoñ kā āgaman hogā tabhī
baat jo dil meñ hai us ko khul ke kah paa.e koī
har 'aqidat-mand tak ye baat pahunchae koi
us ke hisse ke masail kaise suljhae koi
jannat-ul-firdaus ke chakkar mein duniya se jafa
is samajh ke pher se kaise ubar pae koi
piTh pichhe kaun kya kahta hai is ko chhoDiye
hai agar himmat to mere samne aae koi
mulk jis mein qabiliyyat ki koi 'izzat nahin
wishw-guru kaise banega hum ko samjhae koi
jo zaban maqbul ho jati hai KHas-o-'am mein
kya munasib had kabhi is par laga pae koi
ye hamari qaum hi kya asl qaum-e-lut hai
warna mazi ko min-o-'an kaise dohrae koi
desh mein achchhe dinon ka aagaman hoga tabhi
baat jo dil mein hai us ko khul ke kah pae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.