har bar hamein dete hain paigham-e-mohabbat
har baar hameñ dete haiñ paiġhām-e-mohabbat
tum bhī to baḌhāo kabhī iqdām-e-mohabbat
ham hī se zamāne meñ mohabbat kā chalan hai
ham log nahīñ sochte anjām-e-mohabbat
duniyā kī kisī mai meñ use lutf na aaya
hoñToñ se lagā jis ke kabhī jām-e-mohabbat
har sub.h suhānī hai mohabbat ke nashe meñ
pur-lutf huā kartī hai har shām-e-mohabbat
har shaḳhs kī āñkhoñ se havas jhāñk rahī hai
duniyā se na miT jaa.e kahīñ nām-e-mohabbat
tum ban ke jo aa.e ho mohabbat ke taraf-dār
dekhā nahīñ hai kyā kabhī ālām-e-mohabbat
vo log mohabbat kā maza ḳhaak samajhte
chūmā hī jinhoñ ne na kabhī bām-e-mohabbat
har bar hamein dete hain paigham-e-mohabbat
tum bhi to baDhao kabhi iqdam-e-mohabbat
hum hi se zamane mein mohabbat ka chalan hai
hum log nahin sochte anjam-e-mohabbat
duniya ki kisi mai mein use lutf na aaya
honTon se laga jis ke kabhi jam-e-mohabbat
har subh suhani hai mohabbat ke nashe mein
pur-lutf hua karti hai har sham-e-mohabbat
har shaKHs ki aankhon se hawas jhank rahi hai
duniya se na miT jae kahin nam-e-mohabbat
tum ban ke jo aae ho mohabbat ke taraf-dar
dekha nahin hai kya kabhi aalam-e-mohabbat
wo log mohabbat ka maza KHak samajhte
chuma hi jinhon ne na kabhi baam-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.