har bar hi kahta hai mujhe pyar nahin hai
har baar hī kahtā hai mujhe pyaar nahīñ hai
zālim ye koī ishq kā me.aar nahīñ hai
chalnā hī paḌegā mujhe maujoñ ke sahāre
kashtī meñ huuñ aur haath meñ patvār nahīñ hai
fitrat ke manāzir se ye andāza huā hai
duniyā kī koī chiiz bhī bekār nahīñ hai
is shahr kī hālat se to lagtā hai mujhe ye
koī bhī yahāñ sāhab-e-īsār nahīñ hai
phūloñ kī mahak kis tarah mahsūs karegā
jo shaḳhs mohabbat kā talabgār nahīñ hai
saj ban ke nikalne kā nahīñ fā.eda koī
ye shahr koī misr kā bāzār nahīñ hai
'aḳhtar' koī miltā nahīñ dukh bāñTne vaalā
jazba yahāñ iḳhlās kā bedār nahīñ hai
har bar hi kahta hai mujhe pyar nahin hai
zalim ye koi ishq ka mear nahin hai
chalna hi paDega mujhe maujon ke sahaare
kashti mein hun aur hath mein patwar nahin hai
fitrat ke manazir se ye andaza hua hai
duniya ki koi chiz bhi bekar nahin hai
is shahr ki haalat se to lagta hai mujhe ye
koi bhi yahan sahab-e-isar nahin hai
phulon ki mahak kis tarah mahsus karega
jo shaKHs mohabbat ka talabgar nahin hai
saj ban ke nikalne ka nahin faeda koi
ye shahr koi misr ka bazar nahin hai
'aKHtar' koi milta nahin dukh banTne wala
jazba yahan iKHlas ka bedar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.