har baat ka jawab sa hai bhi nahin bhi hai
har baat kā javāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
chehra tirā kitāb sā hai hai bhī nahīñ bhī hai
dekhā hai us ko par nahīñ dekhā batā.eñ kyā
us ruḳh par ik naqāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
karnā to chāhte haiñ bahut kuchh agar magar
zehnoñ meñ inqalāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
kah to diyā hai ham ne sar-e-bazm hāl-e-dil
sun kar vo lā-javāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
aanā to chāhte haiñ mire paas vo magar
un ko kuchh ijtināb sā hai bhī nahīñ bhī hai
vo mahv-e-guftugū ho to lagtā hai yuuñ mujhe
bajtā huā rabāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
us kī galī meñ haal har ik nā-murād kā
mujh ḳhānumāñ-ḳharāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
vo ham ko mil ga.e haiñ mile haiñ magar kahāñ
ik darmiyāñ hijāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
'hāmid' nasha sharāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
sāġhar meñ āftāb sā hai bhī nahīñ bhī hai
har baat ka jawab sa hai bhi nahin bhi hai
chehra tera kitab sa hai hai bhi nahin bhi hai
dekha hai us ko par nahin dekha bataen kya
us ruKH par ek naqab sa hai bhi nahin bhi hai
karna to chahte hain bahut kuchh agar magar
zehnon mein inqalab sa hai bhi nahin bhi hai
kah to diya hai hum ne sar-e-bazm haal-e-dil
sun kar wo la-jawab sa hai bhi nahin bhi hai
aana to chahte hain mere pas wo magar
un ko kuchh ijtinab sa hai bhi nahin bhi hai
wo mahw-e-guftugu ho to lagta hai yun mujhe
bajta hua rabab sa hai bhi nahin bhi hai
us ki gali mein haal har ek na-murad ka
mujh KHanuman-KHarab sa hai bhi nahin bhi hai
wo hum ko mil gae hain mile hain magar kahan
ek darmiyan hijab sa hai bhi nahin bhi hai
'hamid' nasha sharab sa hai bhi nahin bhi hai
saghar mein aaftab sa hai bhi nahin bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.