Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har baat ka jawab sa hai bhi nahin bhi hai

Hamid Lateef

har baat ka jawab sa hai bhi nahin bhi hai

Hamid Lateef

MORE BYHamid Lateef

    har baat javāb hai bhī nahīñ bhī hai

    chehra tirā kitāb hai bhī nahīñ bhī hai

    dekhā hai us ko par nahīñ dekhā batā.eñ kyā

    us ruḳh par ik naqāb hai bhī nahīñ bhī hai

    karnā to chāhte haiñ bahut kuchh agar magar

    zehnoñ meñ inqalāb hai bhī nahīñ bhī hai

    kah to diyā hai ham ne sar-e-bazm hāl-e-dil

    sun kar vo lā-javāb hai bhī nahīñ bhī hai

    aanā to chāhte haiñ mire paas vo magar

    un ko kuchh ijtināb hai bhī nahīñ bhī hai

    vo mahv-e-guftugū ho to lagtā hai yuuñ mujhe

    bajtā huā rabāb hai bhī nahīñ bhī hai

    us galī meñ haal har ik nā-murād

    mujh ḳhānumāñ-ḳharāb hai bhī nahīñ bhī hai

    vo ham ko mil ga.e haiñ mile haiñ magar kahāñ

    ik darmiyāñ hijāb hai bhī nahīñ bhī hai

    'hāmid' nasha sharāb hai bhī nahīñ bhī hai

    sāġhar meñ āftāb hai bhī nahīñ bhī hai

    har baat ka jawab sa hai bhi nahin bhi hai

    chehra tera kitab sa hai bhi nahin bhi hai

    dekha hai us ko par nahin dekha bataen kya

    us ruKH par ek naqab sa hai bhi nahin bhi hai

    karna to chahte hain bahut kuchh agar magar

    zehnon mein inqalab sa hai bhi nahin bhi hai

    kah to diya hai hum ne sar-e-bazm haal-e-dil

    sun kar wo la-jawab sa hai bhi nahin bhi hai

    aana to chahte hain mere pas wo magar

    un ko kuchh ijtinab sa hai bhi nahin bhi hai

    wo mahw-e-guftugu ho to lagta hai yun mujhe

    bajta hua rabab sa hai bhi nahin bhi hai

    us ki gali mein haal har ek na-murad ka

    mujh KHanuman-KHarab sa hai bhi nahin bhi hai

    wo hum ko mil gae hain mile hain magar kahan

    ek darmiyan hijab sa hai bhi nahin bhi hai

    'hamid' nasha sharab sa hai bhi nahin bhi hai

    saghar mein aaftab sa hai bhi nahin bhi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now