har baat kaTte hain wo talwar ki tarah
har baat kāTte haiñ vo talvār kī tarah
ahbāb kā sulūk hai aġhyār kī tarah
duniyā meñ jin ko zuhd pe apne ġhurūr thā
mahshar meñ vo khaḌe haiñ ḳhatā-kār kī tarah
nazroñ kā rang aur ishāroñ kī baat aur
inkār kar rahe haiñ vo iqrār kī tarah
tūl-e-maraz ne un ko kasal-mand kar diyā
tīmār-dār baiThe haiñ bīmār kī tarah
hāsil kanār-e-dost ho aisā kahāñ nasīb
sāhil se duur duur haiñ mañjdhār kī tarah
har zāviye se un kī javānī ke vāqi'āt
tartīb de rahā huuñ maiñ fankār kī tarah
tere huzūr aa ke zamāne ke shaah bhī
muñh dekhte haiñ banda-e-nādār kī tarah
taḳhrīb-kāriyoñ se hameñ kuchh ġharaz nahīñ
jiinā hai 'charḳh' ham ko to me'mār kī tarah
har baat kaTte hain wo talwar ki tarah
ahbab ka suluk hai aghyar ki tarah
duniya mein jin ko zuhd pe apne ghurur tha
mahshar mein wo khaDe hain KHata-kar ki tarah
nazron ka rang aur ishaaron ki baat aur
inkar kar rahe hain wo iqrar ki tarah
tul-e-maraz ne un ko kasal-mand kar diya
timar-dar baiThe hain bimar ki tarah
hasil kanar-e-dost ho aisa kahan nasib
sahil se dur dur hain manjdhaar ki tarah
har zawiye se un ki jawani ke waqi'at
tartib de raha hun main fankar ki tarah
tere huzur aa ke zamane ke shah bhi
munh dekhte hain banda-e-nadar ki tarah
taKHrib-kariyon se hamein kuchh gharaz nahin
jina hai 'charKH' hum ko to me'mar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.