Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har baat par jahan mein uchhaalenge nam log

Heera Lal Yadav

har baat par jahan mein uchhaalenge nam log

Heera Lal Yadav

MORE BYHeera Lal Yadav

    har baat par jahāñ meñ uchhāleñge naam log

    rusvā kareñge aur bigāḌeñge kaam log

    bhātā hai koī koī dil aur dimāġh ko

    milne ko yuuñ to milte haiñ jag meñ tamām log

    kar ke dikhāo kaam koī ziist meñ baḌā

    chāhat hai gar jahāñ meñ kareñ ehtirām log

    sukh chain bhī nasīb meñ un ke likhā hai

    dukh-dard bas jahāñ meñ uThā.eñge 'aam log

    rahtī hai jis sab se shikāyat jahān meñ

    karte haiñ ḳhud bhī kaam vahī sub.h-shām log

    aa.ī samajh meñ baat hameñ ye na aaj tak

    kyūñkar kisī nashe haiñ bante ġhulām log

    jag meñ badī raah pe chalte haiñ jo bashar

    karte haiñ duur se unheñ rām-rām log

    jīte-jī haal pūchhne bhī samay na thā

    marne ke baa'd kar rahe haiñ tām-jhām log

    'hīrā' daroge sab se agar baat baat par

    jiinā kareñge aur jahāñ meñ harām log

    har baat par jahan mein uchhaalenge nam log

    ruswa karenge aur bigaDenge kaam log

    bhata hai koi koi hi dil aur dimagh ko

    milne ko yun to milte hain jag mein tamam log

    kar ke dikhao kaam koi zist mein baDa

    chahat hai gar jahan mein karen ehtiram log

    sukh chain bhi nasib mein un ke likha hai ya

    dukh-dard bas jahan mein uThaenge 'am log

    rahti hai jis ki sab se shikayat jahan mein

    karte hain KHud bhi kaam wahi subh-sham log

    aai samajh mein baat hamein ye na aaj tak

    kyunkar kisi nashe ka hain bante ghulam log

    jag mein badi ki rah pe chalte hain jo bashar

    karte hain dur se hi unhen ram-ram log

    jite-ji haal puchhne ka bhi samay na tha

    marne ke ba'd kar rahe hain tam-jham log

    'hira' daroge sab se agar baat baat par

    jina karenge aur jahan mein haram log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now