har baat pe inkar kare hai but-e-kafir
har baat pe inkār kare hai but-e-kāfir
tū shaḳhs to achchhā hai magar tere anāsir
ai shahr-e-tamannā meñ sukūnat ke bhikārī
is shahr meñ ābād nahīñ koī muhājir
ḳhush rahne kī tākīd na kar vaqt hai ab bhī
gar maan liyā maiñ ne kahīñ terā kahā phir
koī bhī mire dukh meñ dukhī hotā nahīñ hai
Dhāras hī bañdhā jaa.e gale mil ke ba-zāhir
jab se mirī mahfil se vo ik shaḳhs uThā hai
maiñ laakh rahūñ dil nahīñ rahtā kabhī hāzir
us shoḳh tabī.at se tujhe aar hai lekin
'shādāb' agar naam kā shādāb huā phir
har baat pe inkar kare hai but-e-kafir
tu shaKHs to achchha hai magar tere anasir
ai shahr-e-tamanna mein sukunat ke bhikari
is shahr mein aabaad nahin koi muhajir
KHush rahne ki takid na kar waqt hai ab bhi
gar man liya main ne kahin tera kaha phir
koi bhi mere dukh mein dukhi hota nahin hai
Dhaaras hi bandha jae gale mil ke ba-zahir
jab se meri mahfil se wo ek shaKHs uTha hai
main lakh rahun dil nahin rahta kabhi hazir
us shoKH tabiat se tujhe aar hai lekin
'shadab' agar nam ka shadab hua phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.