har badan ko ab yahan aisa gahan lagne laga
har badan ko ab yahāñ aisā gahan lagne lagā
jis ko dekho ab vahī be-pairahan lagne lagā
jab se Dhālā hai sitāroñ meñ nigāh-e-shauq ko
chāñd se baḌh kar tumhārā bāñkpan lagne lagā
merī jānib pyaar se dekhe na koī ik nazar
halqa-e-ahbāb terī anjuman lagne lagā
zinda lāshoñ kī tarah lagne lagī insāniyat
pairahan ab ādmiyyat kā kafan lagne lagā
maiñ ne rakkhā hai hamesha apnī dhartī kā bharam
is liye bhī mujh se vo charḳh-e-kuhan lagne lagā
maiñ ne rakhā thā jahāñ par phuul tere naam kā
is zamīñ kā utnā hissa ab chaman lagne lagā
jab se sachchā.ī ke raste ko kiyā hai muntaḳhab
nok-e-ḳhanjar se chhiddā apnā badan lagne lagā
rafta rafta nok-e-ḳhāma par havas chhāne lagī
dhīre dhīre rā.egāñ kār-e-suḳhan lagne lagā
ye jo bāñdhā hai garebāñ se junūñ ke haath ko
ahl-e-dānish ko magar dīvāna-pan lagne lagā
jis gulistāñ par lahū chhiḌkā thā ham ne ai 'nabīl'
Daalī Daalī aaj vo ik dasht-e-ban lagne lagā
har badan ko ab yahan aisa gahan lagne laga
jis ko dekho ab wahi be-pairahan lagne laga
jab se Dhaala hai sitaron mein nigah-e-shauq ko
chand se baDh kar tumhaara bankpan lagne laga
meri jaanib pyar se dekhe na koi ek nazar
halqa-e-ahbab teri anjuman lagne laga
zinda lashon ki tarah lagne lagi insaniyat
pairahan ab aadmiyyat ka kafan lagne laga
main ne rakkha hai hamesha apni dharti ka bharam
is liye bhi mujh se wo charKH-e-kuhan lagne laga
main ne rakha tha jahan par phul tere nam ka
is zamin ka utna hissa ab chaman lagne laga
jab se sachchai ke raste ko kiya hai muntaKHab
nok-e-KHanjar se chhidda apna badan lagne laga
rafta rafta nok-e-KHama par hawas chhane lagi
dhire dhire raegan kar-e-suKHan lagne laga
ye jo bandha hai gareban se junun ke hath ko
ahl-e-danish ko magar diwana-pan lagne laga
jis gulistan par lahu chhiDka tha hum ne ai 'nabil'
Dali Dali aaj wo ek dasht-e-ban lagne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.