Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har bashar ka maqam likkha hai

Hairat Farrukhabadi

har bashar ka maqam likkha hai

Hairat Farrukhabadi

MORE BYHairat Farrukhabadi

    har bashar maqām likkhā hai

    sab bā-zarf kaam likkhā hai

    mere likkhe pe haq kisī nahīñ

    jo likhā tere naam likkhā hai

    ham se likhvā rahā hai kis junūñ

    kaun hai kis kaam likkhā hai

    chiir kar dekh le mirā siina

    is meñ terā naam likkhā hai

    soch kar jab kabhī likhā maiñ ne

    jo bhī likkhā hai ḳhaam likkhā hai

    likhne vāloñ kyā kahūñ hamdam

    sub.h likkhā hai shaam likkhā hai

    ḳhaas likhte haiñ likhne vaale sab

    jo likhā ham ne aam likkhā hai

    pāniyoñ aur havā pe likh na sake

    ham ne dhartī pe naam likkhā hai

    jis ko jāgīr apnī vo samjhe

    us pe merā bhī naam likkhā hai

    zahr zahr apne hisse meñ

    un qismat meñ jaam likkhā hai

    us rahmat kyā gila 'hairat'

    dard-o-ġham mere naam likkhā hai

    har bashar ka maqam likkha hai

    sab ka ba-zarf kaam likkha hai

    mere likkhe pe haq kisi ka nahin

    jo likha tere nam likkha hai

    hum se likhwa raha hai kis ka junun

    kaun hai kis ka kaam likkha hai

    chir kar dekh le mera sina

    is mein tera hi nam likkha hai

    soch kar jab kabhi likha main ne

    jo bhi likkha hai KHam likkha hai

    likhne walon ka kya kahun hamdam

    subh likkha hai sham likkha hai

    KHas likhte hain likhne wale sab

    jo likha hum ne aam likkha hai

    paniyon aur hawa pe likh na sake

    hum ne dharti pe nam likkha hai

    jis ko jagir apni wo samjhe

    us pe mera bhi nam likkha hai

    zahr hi zahr apne hisse mein

    un ki qismat mein jam likkha hai

    us ki rahmat ka kya gila 'hairat'

    dard-o-gham mere nam likkha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now