har bulandi se guzar jaana tha
har bulandī se guzar jaanā thā
kaam mushkil sahī kar jaanā thā
mauj-dar-mauj sañvarne ke liye
ġham ke dariyā meñ utar jaanā thā
kab talak kashmakash-e-maut-o-hayāt
yā to jiinā thā yā mar jaanā thā
ishq pāband-e-gulistāñ kyoñ ho
bū-e-gul ban ke bikhar jaanā thā
kaun se moḌ pe aa pahuñchā huuñ
bhuul baiThā huuñ kidhar jaanā thā
paañv be-jān the āñkheñ be-nūr
duur manzil thī magar jaanā thā
vo bhī nazroñ se girā hai 'jauhar'
jis ko me.arāj-e-nazar jaanā thā
har bulandi se guzar jaana tha
kaam mushkil sahi kar jaana tha
mauj-dar-mauj sanwarne ke liye
gham ke dariya mein utar jaana tha
kab talak kashmakash-e-maut-o-hayat
ya to jina tha ya mar jaana tha
ishq paband-e-gulistan kyon ho
bu-e-gul ban ke bikhar jaana tha
kaun se moD pe aa pahuncha hun
bhul baiTha hun kidhar jaana tha
panw be-jaan the aankhen be-nur
dur manzil thi magar jaana tha
wo bhi nazron se gira hai 'jauhar'
jis ko mearaj-e-nazar jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.