har buri baat nikali ya bhulai jae
har burī baat nikālī yā bhulā.ī jaa.e
zehn se jaa.e mire dil se burā.ī jaa.e
aañkh meñ vasl kī tasvīr banā.ī jaa.e
aap yuuñ ḳhvāb meñ aao ki judā.ī jaa.e
aap kī talḳh-bayānī se ghaTegā hī dam
baat se baat ziyāda na dabā.ī jaa.e
ye alag shor liye aa.ī huī hai ḳhud meñ
kis tarah raat kī tanhā.ī bitā.ī jaa.e
chāñd kī sardī ko āñkhoñ meñ basā kar goyā
apne siine meñ lagī aag bujhā.ī jaa.e
hijr vāloñ pe mohabbat kā hunar zāhir hai
is liye ham ko mohabbat na sikhā.ī jaa.e
har buri baat nikali ya bhulai jae
zehn se jae mere dil se burai jae
aankh mein wasl ki taswir banai jae
aap yun KHwab mein aao ki judai jae
aap ki talKH-bayani se ghaTega hi dam
baat se baat ziyaada na dabai jae
ye alag shor liye aai hui hai KHud mein
kis tarah raat ki tanhai bitai jae
chand ki sardi ko aankhon mein basa kar goya
apne sine mein lagi aag bujhai jae
hijr walon pe mohabbat ka hunar zahir hai
is liye hum ko mohabbat na sikhai jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.