har-chand bhulata hun bhulaya nahin jata
Interesting Fact
September 1929
har-chand bhulātā huuñ bhulāyā nahīñ jaatā
ik naqsh-e-taḳhayyul hai miTāyā nahīñ jaatā
maiñ ne jo kahā dard baḌhāyā nahīñ jaatā
kahne lage nādān jatāyā nahīñ jaatā
ummīd kī kashtī ko sahārā to lagā do
maanā ki tumheñ saath biThāyā nahīñ jaatā
vo dāġh-e-mohabbat kā nishāñ pūchh rahe haiñ
hālāñki samajhte haiñ dikhāyā nahīñ jaatā
ab un kā taqāza hai kahānī nahīñ kahte
jab qissa-e-ġham ham se sunāyā nahīñ jaatā
īzā-talabī kī koī had ho to jafā ho
ab vo bhī haiñ majbūr satāyā nahīñ jaatā
tum aaoge aur shab ko zarā soch ke kahte
tum se to tasavvur meñ bhī aayā nahīñ jaatā
'tālib' mirī bāteñ unheñ bāvar nahīñ ātīñ
dil chiir ke pahlū ko dikhāyā nahīñ jaatā
har-chand bhulata hun bhulaya nahin jata
ek naqsh-e-taKHayyul hai miTaya nahin jata
main ne jo kaha dard baDhaya nahin jata
kahne lage nadan jataya nahin jata
ummid ki kashti ko sahaara to laga do
mana ki tumhein sath biThaya nahin jata
wo dagh-e-mohabbat ka nishan puchh rahe hain
haalanki samajhte hain dikhaya nahin jata
ab un ka taqaza hai kahani nahin kahte
jab qissa-e-gham hum se sunaya nahin jata
iza-talabi ki koi had ho to jafa ho
ab wo bhi hain majbur sataya nahin jata
tum aaoge aur shab ko zara soch ke kahte
tum se to tasawwur mein bhi aaya nahin jata
'talib' meri baaten unhen bawar nahin aatin
dil chir ke pahlu ko dikhaya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.