har-chand ki ab mujhse sitam uTh nahin sakta
har-chand ki ab mujhse sitam uTh nahin sakta
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
har-chand ki ab mujh se sitam uTh nahīñ saktā
lekin tire kūche se qadam uTh nahīñ saktā
kyā zo.af ne sharminda kiyā sabr ke aage
furqat meñ jo ye bār-e-alam uTh nahīñ saktā
jo ka.aba meñ hai hai vahī but-ḳhāne meñ jalva
ik parda hai so shaiḳh-e-haram uTh nahīñ saktā
tū hove ḳhafā aur na dar se tire uTThūñ
sar hī tire qadmoñ kī qasam uTh nahīñ saktā
aalam meñ luTā.ī hai baḌī husn kī daulat
merī hī taraf dast-e-karam uTh nahīñ saktā
go pech to hai kūcha-e-dildār meñ yā rab
uTThā to qadam sū-e-iram uTh nahīñ saktā
'ārif' ko jo dekhā hai to chalne meñ havā hai
lekin tire kūche se qadam uTh nahīñ saktā
har-chand ki ab mujh se sitam uTh nahin sakta
lekin tere kuche se qadam uTh nahin sakta
kya zoaf ne sharminda kiya sabr ke aage
furqat mein jo ye bar-e-alam uTh nahin sakta
jo kaba mein hai hai wahi but-KHane mein jalwa
ek parda hai so shaiKH-e-haram uTh nahin sakta
tu howe KHafa aur na dar se tere uTThun
sar hi tere qadmon ki qasam uTh nahin sakta
aalam mein luTai hai baDi husn ki daulat
meri hi taraf dast-e-karam uTh nahin sakta
go pech to hai kucha-e-dildar mein ya rab
uTTha to qadam su-e-iram uTh nahin sakta
'arif' ko jo dekha hai to chalne mein hawa hai
lekin tere kuche se qadam uTh nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.