har-chand ki baat apni kab lutf se Khaali hai
har-chand ki baat apni kab lutf se Khaali hai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
har-chand ki baat apnī kab lutf se ḳhālī hai
par yaar na samjheñ to ye baat nirālī hai
āġhosh meñ hai vo aur pahlū mirā ḳhālī hai
māshūq mirā goyā tasvīr-e-ḳhyālī hai
kyā Dar hai agar us ne dar se mujhe uThvāyā
kahte haiñ taġhayyurī meñ āshiq kī bahālī hai
bālīñ pe jab aayā hai bīmār kī tū apne
tab ruuh ke qābiz ne jaan us kī nikālī hai
maiñ haal bayāñ apnā kartā huuñ ġhazal kah ke
is vāste ab merā jo sher hai haalī hai
mehñdī ke lagāne meñ phurtī ye nahīñ dekhī
zālim ne hathelī par sarsoñ sī jamā lī hai
har-chand ki parvāna jal jaane meñ hai āñdhī
par sham.a bhī ātish meñ jī jhoñkne vaalī hai
maanī ne shabīh us kī kyā soch ke khīñchī thī
mū-e-kamar us ke kī tasvīr ḳhayālī hai
zāhir hai ki jaage ho tum raat kahīñ rah kar
āñkhoñ meñ nashe kī to kuchh thoḌī sī laalī hai
maqdūr magar kab thā qurbān haiñ ham us ke
dāman kī tire jis ne ye jhoñk sambhālī hai
ai 'mus.hafī' hai terā itnā jo suḳhan chaspāñ
kyā tū ne javāñ darzan ghar meñ koī Daalī hai
har-chand ki baat apni kab lutf se KHali hai
par yar na samjhen to ye baat nirali hai
aaghosh mein hai wo aur pahlu mera KHali hai
mashuq mera goya taswir-e-KHyali hai
kya Dar hai agar us ne dar se mujhe uThwaya
kahte hain taghayyuri mein aashiq ki bahaali hai
baalin pe jab aaya hai bimar ki tu apne
tab ruh ke qabiz ne jaan us ki nikali hai
main haal bayan apna karta hun ghazal kah ke
is waste ab mera jo sher hai haali hai
mehndi ke lagane mein phurti ye nahin dekhi
zalim ne hatheli par sarson si jama li hai
har-chand ki parwana jal jaane mein hai aandhi
par shama bhi aatish mein ji jhonkne wali hai
mani ne shabih us ki kya soch ke khinchi thi
mu-e-kamar us ke ki taswir KHayali hai
zahir hai ki jage ho tum raat kahin rah kar
aankhon mein nashe ki to kuchh thoDi si lali hai
maqdur magar kab tha qurban hain hum us ke
daman ki tere jis ne ye jhonk sambhaali hai
ai 'mushafi' hai tera itna jo suKHan chaspan
kya tu ne jawan darzan ghar mein koi Dali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.