har chand ki ghaalib ke taraf-dar bahut hain
har chand ki ġhālib ke taraf-dār bahut haiñ
lekin ye mire dost pur-asrār bahut haiñ
jamtī huī dekhī hai hathelī pe bhī sarsoñ
ye log zamāne ke to fankār bahut haiñ
sharminda-e-ehsās na ho gardish-e-daurāñ
barbādī-e-jāñ ko to mire yaar bahut haiñ
ye aql kahe rāh-e-mulāqāt nahīñ hai
dil ham se kahe is baras āsār bahut haiñ
kuchh un ke liye haath uThā aur duā kar
‘sartāj’ tire in dinoñ bīmār bahut haiñ
har chand ki ghaalib ke taraf-dar bahut hain
lekin ye mere dost pur-asrar bahut hain
jamti hui dekhi hai hatheli pe bhi sarson
ye log zamane ke to fankar bahut hain
sharminda-e-ehsas na ho gardish-e-dauran
barbaadi-e-jaan ko to mere yar bahut hain
ye aql kahe rah-e-mulaqat nahin hai
dil hum se kahe is baras aasar bahut hain
kuchh un ke liye hath uTha aur dua kar
‘sartaj’ tere in dinon bimar bahut hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 432)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.