har chand ki hum murid-e-pur-qahr-o-ghazab hain
har chand ki ham mūrid-e-pur-qahr-o-ġhazab haiñ
bātil ke parastār na pahle the na ab haiñ
vo log kahāñ ab jinheñ kahte the mujāhid
is daur-e-taraqqī meñ sab ārām-talab haiñ
fursat jo mile ġham se to mismār hī kar duuñ
jitne bhī sar-e-rāh ye aivān-e-tarab haiñ
kyā jāniye kis nashsha-e-ġhaflat meñ haiñ sarshār
mad.hosh nahīñ ham magar hushyār bhī kab haiñ
rahbar haiñ ki rahzan haiñ samajh meñ nahīñ aatā
hamdard nahīñ ek bhī hamrāh to sab haiñ
īmā-e-nazar ho to dil-o-jāñ bhī tasadduq
ham vo nahīñ jo muntazir-e-jumbish-e-lab haiñ
dil Dūbne lagtā hai tasavvur se bhī jin ke
aise bhī maqāmāt sar-e-rāh-e-talab haiñ
dil chiir ga.ī jin kī fuġhān-e-shab-e-tārīk
ab rang-e-sahar dekh ke kyoñ muhr-ba-lab haiñ
'rāhī' se mile jab bhī ye mahsūs kiyā hai
us shaḳhs ke jazbāt-o-ḳhayālāt ajab haiñ
har chand ki hum murid-e-pur-qahr-o-ghazab hain
baatil ke parastar na pahle the na ab hain
wo log kahan ab jinhen kahte the mujahid
is daur-e-taraqqi mein sab aaram-talab hain
fursat jo mile gham se to mismar hi kar dun
jitne bhi sar-e-rah ye aiwan-e-tarab hain
kya jaaniye kis nashsha-e-ghaflat mein hain sarshaar
madhosh nahin hum magar hushyar bhi kab hain
rahbar hain ki rahzan hain samajh mein nahin aata
hamdard nahin ek bhi hamrah to sab hain
ima-e-nazar ho to dil-o-jaan bhi tasadduq
hum wo nahin jo muntazir-e-jumbish-e-lab hain
dil Dubne lagta hai tasawwur se bhi jin ke
aise bhi maqamat sar-e-rah-e-talab hain
dil chir gai jin ki fughan-e-shab-e-tarik
ab rang-e-sahar dekh ke kyon muhr-ba-lab hain
'rahi' se mile jab bhi ye mahsus kiya hai
us shaKHs ke jazbaat-o-KHayalat ajab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.