har-chand ki inkar munasib bhi nahin tha
har-chand ki inkār munāsib bhī nahīñ thā
maiñ tamġha-e-tash.hīr kā tālib bhī nahīñ thā
harakat lab-o-abrū kī bhī rakhtā thā nazar meñ
āmāda-e-tasḳhīr-e-matālib bhī nahīñ thā
sarḳhail-e-tamanna thā jo aivān-e-talab meñ
us ko to kuchh ehsās-e-marātib bhī nahīñ thā
jis ghar meñ charāġhāñ thā ga.ī shaam vahāñ aaj
ik dāna-e-gandum pa.e-rātib bhī nahīñ thā
manzil bhī ajab thī maiñ guzartā thā jahāñ se
ham-rāh mire kal mirā qālib bhī nahīñ thā
har saañs meñ hone kā pata detā thā lekin
vo mere ḳhayālāt pe ġhālib bhī nahīñ thā
ḳhūñ-nāba-fishānī kā sabab zaat thī jis kī
merā bhī na thā dūsrī jānib bhī nahīñ thā
fāteh ke sipāhī mujhe kyoñ DhūñD rahe haiñ
maiñ to kabhī manzūr-e-musāhib bhī nahīñ thā
koī bhī na thā us ke sivā sāmne 'yāvar'
vo shaḳhs ki maiñ jis se muḳhātib bhī nahīñ thā
har-chand ki inkar munasib bhi nahin tha
main tamgha-e-tashhir ka talib bhi nahin tha
harakat lab-o-abru ki bhi rakhta tha nazar mein
aamada-e-tasKHir-e-matalib bhi nahin tha
sarKHail-e-tamanna tha jo aiwan-e-talab mein
us ko to kuchh ehsas-e-maraatib bhi nahin tha
jis ghar mein charaghan tha gai sham wahan aaj
ek dana-e-gandum pae-raatib bhi nahin tha
manzil bhi ajab thi main guzarta tha jahan se
ham-rah mere kal mera qalib bhi nahin tha
har sans mein hone ka pata deta tha lekin
wo mere KHayalat pe ghaalib bhi nahin tha
KHun-naba-fishani ka sabab zat thi jis ki
mera bhi na tha dusri jaanib bhi nahin tha
fateh ke sipahi mujhe kyon DhunD rahe hain
main to kabhi manzur-e-musahib bhi nahin tha
koi bhi na tha us ke siwa samne 'yawar'
wo shaKHs ki main jis se muKHatib bhi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.