har-chand ki tha hijr mein andesha-e-jaan bhi
har-chand ki thā hijr meñ andesha-e-jāñ bhī
āḳhir ko to ham se hī uThā bār-e-girāñ bhī
ik gosha-e-dar rakkhā hai mahfūz hamārā
is vus.at-e-kaunain meñ ham jaa.eñ jahāñ bhī
mā'dūm bhī huuñ ahl-e-tamāshā kī nazar meñ
bikhrā hai har ik samt magar merā nishāñ bhī
kuchh kam na huā rizq ḳhudā tere gadā par
har chand ki galiyoñ meñ uThā shor-e-sagāñ bhī
kaam aatī hai aksar to yahī ḳhāna-badoshī
rakhne ko to ham shahr meñ rakhte haiñ makāñ bhī
us vaqt 'ajab hotā hai tarsīl kā 'ālam
lafzoñ ko taras jaate haiñ jab ahl-e-zabāñ bhī
har-chand ki tha hijr mein andesha-e-jaan bhi
aaKHir ko to hum se hi uTha bar-e-giran bhi
ek gosha-e-dar rakkha hai mahfuz hamara
is wusat-e-kaunain mein hum jaen jahan bhi
ma'dum bhi hun ahl-e-tamasha ki nazar mein
bikhra hai har ek samt magar mera nishan bhi
kuchh kam na hua rizq KHuda tere gada par
har chand ki galiyon mein uTha shor-e-sagan bhi
kaam aati hai aksar to yahi KHana-badoshi
rakhne ko to hum shahr mein rakhte hain makan bhi
us waqt 'ajab hota hai tarsil ka 'alam
lafzon ko taras jate hain jab ahl-e-zaban bhi
- Book : Lauh-e-Jahan (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.