har chand tere shahr ke ab kucha-gard hain
har chand tere shahr ke ab kucha-gard hain
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
har chand tere shahr ke ab kūcha-gard haiñ
lekin is apne daur meñ ham log fard haiñ
samjhe nahīñ zabān ġhazāloñ kī aaj tak
ham bhī jo ek 'umr se sahrā-navard haiñ
guzre haiñ ham bhī pech-o-ḳham-e-rāh-e-zīst se
yā'nī ki ham bhī vāqif-e-har-garm-o-sard haiñ
kyā kyā haiñ iḳhtiyār-o-irāda kī tohmateñ
ham par bisāt-e-jabr kī jo ek nard haiñ
jis se gudāz-o-garm zamīr-e-vajūd hai
ham sīna-e-hayāt kī vo āh-e-sard haiñ
dekhā hai aaj ham ne bhī jā kar 'bashīr' ko
be-shak abhī zamāne meñ kuchh ahl-e-dard haiñ
har chand tere shahr ke ab kucha-gard hain
lekin is apne daur mein hum log fard hain
samjhe nahin zaban ghazalon ki aaj tak
hum bhi jo ek 'umr se sahra-naward hain
guzre hain hum bhi pech-o-KHam-e-rah-e-zist se
ya'ni ki hum bhi waqif-e-har-garm-o-sard hain
kya kya hain iKHtiyar-o-irada ki tohmaten
hum par bisat-e-jabr ki jo ek nard hain
jis se gudaz-o-garm zamir-e-wajud hai
hum sina-e-hayat ki wo aah-e-sard hain
dekha hai aaj hum ne bhi ja kar 'bashir' ko
be-shak abhi zamane mein kuchh ahl-e-dard hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.