har chand usne KHugar-e-azar kar diya
har chand us ne ḳhūgar-e-āzār kar diyā
naġhmāt-e-zindagī ko to bedār kar diyā
ma.asūmiyat nigāh-e-karam kī sitam huī
ulfat kā e.atibār meñ iz.hār kar diyā
phir us kī yaad aa.ī liye gulsitān-e-shauq
phir aarzū ko tishna-e-dīdār kar diyā
us ne ba-yak-nigāh ḳharīde dil-o-jigar
hosh-o-ḳhirad ko nazr-e-ḳharīdār kar diyā
dil ganj-e-be-bahā sahī lekin tire liye
ham ne to sarf-e-raunaq-e-bāzār kar diyā
har jurm-e-ishq faḳhr hai mere liye magar
us kī nigāheñ dekh ke inkār kar diyā
hasrat bharī nazar vo kisī kī dam-e-vidā.a
marnā bhī mere vāste dushvār kar diyā
har chand us ne KHugar-e-azar kar diya
naghmat-e-zindagi ko to bedar kar diya
masumiyat nigah-e-karam ki sitam hui
ulfat ka eatibar mein izhaar kar diya
phir us ki yaad aai liye gulsitan-e-shauq
phir aarzu ko tishna-e-didar kar diya
us ne ba-yak-nigah KHaride dil-o-jigar
hosh-o-KHirad ko nazr-e-KHaridar kar diya
dil ganj-e-be-baha sahi lekin tere liye
hum ne to sarf-e-raunaq-e-bazar kar diya
har jurm-e-ishq faKHr hai mere liye magar
us ki nigahen dekh ke inkar kar diya
hasrat bhari nazar wo kisi ki dam-e-widaa
marna bhi mere waste dushwar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.