har chand zaKHm zaKHm darida-badan rahe
har chand zaḳhm zaḳhm darīda-badan rahe
gul-rañg terī yaad ke sab pairahan rahe
dekhā tujhe to rañg pas-e-rañg thī nazar
ye silsile bhī dil ke chaman-dar-chaman rahe
pahroñ tasavvurāt kī mahfil sajī rahī
pahroñ tire ḳhayāl se mahv-e-suḳhan rahe
zauq-e-junūñ pe tañg rahīñ dil kī vus.ateñ
kis dasht kī talāsh meñ shorīda-tan rahe
har chand thiiñ ḳhamosh mire dil kī dhaḌkaneñ
dīvār-o-dar ko yaad tire sab suḳhan rahe
har chand zaKHm zaKHm darida-badan rahe
gul-rang teri yaad ke sab pairahan rahe
dekha tujhe to rang pas-e-rang thi nazar
ye silsile bhi dil ke chaman-dar-chaman rahe
pahron tasawwuraat ki mahfil saji rahi
pahron tere KHayal se mahw-e-suKHan rahe
zauq-e-junun pe tang rahin dil ki wusaten
kis dasht ki talash mein shorida-tan rahe
har chand thin KHamosh mere dil ki dhaDkanen
diwar-o-dar ko yaad tere sab suKHan rahe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 528)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.