har chehra na jaane kyun ghabraya hua sa hai
har chehra na jaane kyuuñ ghabrāyā huā sā hai
bechain sā lagtā hai taḌpāyā huā sā hai
kyā dhoka nayā koī khāyā hai mohabbat meñ
har uzv-e-badan us kā tharrāyā huā sā hai
āñkhoñ meñ chamak sī hai ruḳhsār meñ surḳhī sī
āġhosh meñ ulfat kī sharmāyā huā sā hai
khilne kī tamannā thī zulfoñ ke gulistāñ meñ
dil TuuT gayā gul kā murjhāyā huā sā hai
khulne meñ qabāhat hai gesū-e-mohabbat ko
chehra shab-e-hasrat kā pathrāyā huā sā hai
alfāz kī āñkhoñ se barsāt hai ashkoñ kī
lahja ġham-e-jānāñ se bharrāyā huā sā hai
nafrat kī shu'ā'oñ kī yalġhār hai har jaañ par
jis qalb meñ bhī jhāñko kumhlāyā huā sā hai
ilhād kā hamla hai 'jāved' har ik jānib
'ālam kā ye 'ālam hai paglāyā huā sā hai
har chehra na jaane kyun ghabraya hua sa hai
bechain sa lagta hai taDpaya hua sa hai
kya dhoka naya koi khaya hai mohabbat mein
har uzw-e-badan us ka tharraya hua sa hai
aankhon mein chamak si hai ruKHsar mein surKHi si
aaghosh mein ulfat ki sharmaya hua sa hai
khilne ki tamanna thi zulfon ke gulistan mein
dil TuT gaya gul ka murjhaya hua sa hai
khulne mein qabahat hai gesu-e-mohabbat ko
chehra shab-e-hasrat ka pathraya hua sa hai
alfaz ki aankhon se barsat hai ashkon ki
lahja gham-e-jaanan se bharraya hua sa hai
nafrat ki shu'a'on ki yalghaar hai har jaan par
jis qalb mein bhi jhanko kumhlaya hua sa hai
ilhad ka hamla hai 'jawed' har ek jaanib
'alam ka ye 'alam hai paglaya hua sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.