har chehre mein us ka chehra dekhega
har chehre meñ us kā chehra dekhegā
dil jaisā sochegā vaisā dekhegā
āñkhoñ vaalo socho soch ke batlāo
andhā ḳhvāb meñ dekhe to kyā dekhegā
hāsid shaḳhs kī ek nishānī ye bhī hai
jal jā.egā jis ko hañstā dekhegā
vo merī tārīf kare to hairat kyoñ
achchhā to har ik ko achchhā dekhegā
saare jism ko aañkh banā kar bhī dekhe
phir bhī dekhne vaalā kitnā dekhegā
terī āñkheñ dekhtā huuñ to hairat kyoñ
jis ko pyaas lagegī dariyā dekhegā
mujh ko dekhne kī ḳhātir 'shahbāz' koī
sab kī jānib jhūTā-mūTā dekhegā
har chehre mein us ka chehra dekhega
dil jaisa sochega waisa dekhega
aankhon walo socho soch ke batlao
andha KHwab mein dekhe to kya dekhega
hasid shaKHs ki ek nishani ye bhi hai
jal jaega jis ko hansta dekhega
wo meri tarif kare to hairat kyon
achchha to har ek ko achchha dekhega
sare jism ko aankh bana kar bhi dekhe
phir bhi dekhne wala kitna dekhega
teri aankhen dekhta hun to hairat kyon
jis ko pyas lagegi dariya dekhega
mujh ko dekhne ki KHatir 'shahbaz' koi
sab ki jaanib jhuTa-muTa dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.