har chehre par KHauf ki chadar shoalon ki barish ghar ghar
har chehre par KHauf ki chadar shoalon ki barish ghar ghar
Mumtaz Rashid
MORE BYMumtaz Rashid
har chehre par ḳhauf kī chādar sho.aloñ kī bārish ghar ghar
suunī āñkheñ dekh rahī haiñ jalte shahr kā ye manzar
pattā bhī khaḌke to dil sīnoñ meñ ḳhauf se phaT jaa.eñ
kitnī chīḳhoñ kā madfan hai sahmā huā ḳhāmosh nagar
chehre kī tahrīr ke pīchhe kyā dukh hai ye bhī samjho
maiñ koī aḳhbār nahīñ huuñ tum rakh do jis ko paḌh kar
ham hī kuchh nādān the jaane kitne ḳhvāb sajā baiThe
aas ne yuuñ hī dekh liyā thā chalte chalte ek nazar
jab bhī guzartā hai koī āvāra havāoñ kā jhoñkā
taptī Tiin kī ūñchī chhat par bajne lagte haiñ kankar
pīchhe rah jaane vāloñ par kis muñh se ilzām dhareñ
ham jis kī aglī saf meñ the haar gayā hai vo lashkar
koī patthar pheñk ke is meñ apnā aks miTā Dāleñ
jaltī ret meñ kho jā.egī ye naddī aage chal kar
'rāshid' kis ummīd pe dil kā ā.īna chamkāte ho
jaane kyā tasvīr dikhā.e dhuñdlā dhuñdlā san sattar
har chehre par KHauf ki chadar shoalon ki barish ghar ghar
suni aankhen dekh rahi hain jalte shahr ka ye manzar
patta bhi khaDke to dil sinon mein KHauf se phaT jaen
kitni chiKHon ka madfan hai sahma hua KHamosh nagar
chehre ki tahrir ke pichhe kya dukh hai ye bhi samjho
main koi aKHbar nahin hun tum rakh do jis ko paDh kar
hum hi kuchh nadan the jaane kitne KHwab saja baiThe
aas ne yun hi dekh liya tha chalte chalte ek nazar
jab bhi guzarta hai koi aawara hawaon ka jhonka
tapti Tin ki unchi chhat par bajne lagte hain kankar
pichhe rah jaane walon par kis munh se ilzam dharen
hum jis ki agli saf mein the haar gaya hai wo lashkar
koi patthar phenk ke is mein apna aks miTa Dalen
jalti ret mein kho jaegi ye naddi aage chal kar
'rashid' kis ummid pe dil ka aaina chamkate ho
jaane kya taswir dikhae dhundla dhundla san sattar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.