har dar aur rasan mein jalwa usi ka dekha
har daar aur rasan meñ jalva usī kā dekhā
kākul kī har shikan meñ jalva usī kā dekhā
ka.aba ho yā kalīsā masjid ho yā ki mandir
har ek anjuman meñ jalva usī kā dekhā
har shāḳh aur shajar meñ har phuul aur kalī meñ
nasrīñ meñ nastaran meñ jalva usī kā dekhā
naġhmoñ meñ bulbuloñ ke kū-kū meñ qumriyoñ kī
har gul meñ gul-badan meñ jalva usī kā dekhā
husn-e-sanam ke andar pinhāñ usī ko paayā
but aur barhaman meñ jalva usī kā dekhā
har naaz har adā meñ shoḳhī meñ aur hayā meñ
us shoḳh ke dahan meñ jalva usī kā dekhā
ye sab usī sanam ke qudrat ke haiñ karishme
husn aur bāñkpan meñ jalva usī kā dekhā
aa.ī nazar lahad meñ ba.ad-e-fanā vo sūrat
muñh chhupte hī kafan meñ jalva usī kā dekhā
parvāne haiñ fidā.ī jis sham.a-rū ke 'sanjar'
har shaam anjuman meñ jalva usī kā dekhā
har dar aur rasan mein jalwa usi ka dekha
kakul ki har shikan mein jalwa usi ka dekha
kaba ho ya kalisa masjid ho ya ki mandir
har ek anjuman mein jalwa usi ka dekha
har shaKH aur shajar mein har phul aur kali mein
nasrin mein nastaran mein jalwa usi ka dekha
naghmon mein bulbulon ke ku-ku mein qumriyon ki
har gul mein gul-badan mein jalwa usi ka dekha
husn-e-sanam ke andar pinhan usi ko paya
but aur barhaman mein jalwa usi ka dekha
har naz har ada mein shoKHi mein aur haya mein
us shoKH ke dahan mein jalwa usi ka dekha
ye sab usi sanam ke qudrat ke hain karishme
husn aur bankpan mein jalwa usi ka dekha
aai nazar lahad mein baad-e-fana wo surat
munh chhupte hi kafan mein jalwa usi ka dekha
parwane hain fidai jis shama-ru ke 'sanjar'
har sham anjuman mein jalwa usi ka dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.