har dam batae jate hain hum bewafa nahin
har dam batā.e jaate haiñ ham bevafā nahīñ
tum ko nahīñ yaqīn to shak kī davā nahīñ
vo kah rahe haiñ naaz se ham bevafā nahīñ
kis kā hai muñh jo kah de ye da.avā bajā nahīñ
zulf-e-rasā bhī yaar kī itnī rasā nahīñ
tūl-e-shab-e-firāq kī kuchh intihā nahīñ
aane ko hai vo hosh-rubā ho ke be-naqāb
ai be-ḳhudī jabhī to patā hosh kā nahīñ
o rashk-e-hūr qatl na kar mujh ġharīb ko
kūcha tirā bahisht hai kuchh karbalā nahīñ
bijlī se bhī sivā hai chamak meñ nigāh-e-shoḳh
sach hai vo teġh hī nahīñ jis par jilā nahīñ
kal ḳhush the vo jo pūchhte the merī aarzū
kaisī ye mujh se chuuk huī kuchh kahā nahīñ
shākī huuñ apne baḳht kā samjho to baat bhī
tum kyoñ bigaḌ rahe ho tumhārā gila nahīñ
ro kar adū ke sog meñ andher kar diyā
ai shoḳh aaj aañkh tirī surma sā nahīñ
dil de ke maiñ huā hadaf-e-nāvak-e-sitam
is meñ mirī ḳhatā hai tumhārī ḳhatā nahīñ
ghabrāo mat jo māñgte haiñ ham duā-e-vasl
maqbūl ho kabhī vo hamārī duā nahīñ
pariyoñ meñ ye adā hai na hūroñ meñ ye banāo
ḳhud husn kah rahā hai ki saanī tirā nahīñ
insāf kī jo baat hai kahtā huuñ ai 'fahīm'
shā.ir nahīñ jo mo'taqid ehsān kā nahīñ
har dam batae jate hain hum bewafa nahin
tum ko nahin yaqin to shak ki dawa nahin
wo kah rahe hain naz se hum bewafa nahin
kis ka hai munh jo kah de ye dawa baja nahin
zulf-e-rasa bhi yar ki itni rasa nahin
tul-e-shab-e-firaq ki kuchh intiha nahin
aane ko hai wo hosh-ruba ho ke be-naqab
ai be-KHudi jabhi to pata hosh ka nahin
o rashk-e-hur qatl na kar mujh gharib ko
kucha tera bahisht hai kuchh karbala nahin
bijli se bhi siwa hai chamak mein nigah-e-shoKH
sach hai wo tegh hi nahin jis par jila nahin
kal KHush the wo jo puchhte the meri aarzu
kaisi ye mujh se chuk hui kuchh kaha nahin
shaki hun apne baKHt ka samjho to baat bhi
tum kyon bigaD rahe ho tumhaara gila nahin
ro kar adu ke sog mein andher kar diya
ai shoKH aaj aankh teri surma sa nahin
dil de ke main hua hadaf-e-nawak-e-sitam
is mein meri KHata hai tumhaari KHata nahin
ghabrao mat jo mangte hain hum dua-e-wasl
maqbul ho kabhi wo hamari dua nahin
pariyon mein ye ada hai na huron mein ye banao
KHud husn kah raha hai ki sani tera nahin
insaf ki jo baat hai kahta hun ai 'fahim'
shair nahin jo mo'taqid ehsan ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.