har dam nigah mein tera husn-o-jamal hai
har dam nigāh meñ tirā husn-o-jamāl hai
ḳhamyāza-e-bahār kā kis ko ḳhayāl hai
jo naqsh-e-ārzī the vo sab dil se miT ga.e
baaqī jo rah gayā hai vo terā ḳhayāl hai
nā-pā.edārioñ pe hai buniyād-e-zindagī
anjām har kamāl kā ik din zavāl hai
ai shaiḳh ham ko rahmat-e-yazdāñ pe hai yaqīñ
mahshar kī bāz-purs kā kis ko ḳhayāl hai
ham jānte haiñ zabt-e-fuġhāñ ḳhuub hai magar
zabt-e-fuġhāñ bahār meñ lekin muhāl hai
aa.e tire huzūr ye taufīq hai kise
dekhe terā jamāl ye kis kī majāl hai
jis ko zarā bhī chhū ga.ī sarshār kar ga.ī
saaqī tirī nigāh meñ ye kyā kamāl hai
ye kaun sā maqām hai ai be-ḳhudī batā
hai ḳhauf-e-hijr dil meñ na shauq-e-visāl hai
'sābir' yahāñ sabāt kisī chiiz ko nahīñ
bas ġham hī ek chiiz hai jo lā-zavāl hai
har dam nigah mein tera husn-o-jamal hai
KHamyaza-e-bahaar ka kis ko KHayal hai
jo naqsh-e-arzi the wo sab dil se miT gae
baqi jo rah gaya hai wo tera KHayal hai
na-paedarion pe hai buniyaad-e-zindagi
anjam har kamal ka ek din zawal hai
ai shaiKH hum ko rahmat-e-yazdan pe hai yaqin
mahshar ki baz-purs ka kis ko KHayal hai
hum jaante hain zabt-e-fughan KHub hai magar
zabt-e-fughan bahaar mein lekin muhaal hai
aae tere huzur ye taufiq hai kise
dekhe tera jamal ye kis ki majal hai
jis ko zara bhi chhu gai sarshaar kar gai
saqi teri nigah mein ye kya kamal hai
ye kaun sa maqam hai ai be-KHudi bata
hai KHauf-e-hijr dil mein na shauq-e-visal hai
'sabir' yahan sabaat kisi chiz ko nahin
bas gham hi ek chiz hai jo la-zawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.